Kuchh na kuchh toh hai jo usne aaj dekha hai mujhe.
Is se pehle toh palat kar yu'n kabhi dekha na tha.
SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT
Kuchh bhi ho KHALID kisi ke kaam aana chahiye..
Kuchh padosi dost mera ghar jalane aaye hain..
SHAYIR:
KHALID FATEHPURI
Ghol kar zehr me pehle toh dawa dete hain..
Aur phir ham ko woh jeene ki dua dete hain..
SHAYIR:
ZIYA Karnataki,
Bangalore.
Hai nigaho ko meri har pal tumhara intizaar..
Laut kar aawo chali ayegi khushiyo'n ki bahaar..
SHAYIR:
SURAJ Karnataki.
Zindagi me jo Khuda se nahi darta SARGAM..
Usko dunya ki har ek cheez dara deti hai..
SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam.
Tumhari zulf ki khushbu muyasser ho gayi hoti.
Toh apne dasht-e-dil ko jaan-e-jaa'n ham gulsita'n karte.
SHAYIR:
NAZEER RAHI
Tujh ko jaana tha agar tod k wade yunhi.
Saath apne ye mere hosh bhi tu le jata.
SHAYIR:
ILYAS RAHAT Muzaffar nagari, (U.P.)
Lamhaat-e-hijr kat'the hain ab mah-O-saal me..
Aiyam-e-vasl aankh jhapakte guzar gaye..
SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.
Hawawo'n me rawa'n hun mai Mujhe saanso me bhar lena..
Takhallus hai MAHEK mera mai GUL ban kar Mahekti hun..
-
NOURIN MAHEK
Bhula baitha jafa pesha wafa meri jafa kar ke..
Mera dil tod kar aakhir tujhe kya ho gaya hasil ???
-
SAIFULLAH ARSHAD SAIF
No comments:
Post a Comment