Gham mera koyi baant le aisa kaha'n SHAKEEB.
Khud aap apne shehr me tanha khada hun mai.
SHAYIR:
FAIYAZ SHAKEEB,
Bangalore.
Pyar ka aghaaz hone ki alamat hai yahi..
Ek diya jalne laga dehleez-e-dil par shaam se..
SHAYIR:
YAQOOB ASLAM,
Vaniyambadi.
In jazeero'n me teri yaad ke moti hain bahut.
Meri aankho'n me tera aks chhupa rehta hai.
SHAYIR:
KHALID FATEHPURI,
Lucknow.
Chalna hai saari umr tere naqsh-e-pa ke saath.
Ab chahe jo sulook ho meri wafa ke saath.
SHAYIR:
EHSAAN Mukarrampuri,
Bihar.
Hansi ko bech ke aansu khareed laate thay..
Tamam umr yahi karobar ham ne kiya..
SHAYIR:
AHMED NAZEER,
Vaniyambadi...
Abgeena dil ka yaaro choor jisne kar diya.
Mere lab par uski khatir bas dua hai aaj bhi.
SHAYIR:
BISMIL BHATKALI,
(Karnatak)
Jaha'n me kaun hai aisa jisay kuchh gham nahi hota..
Khushi ki Qadr kya hoti agar matam nahi hota..
SHAYIR:
RAFFATH ASIFI
Jeewunga tere saath Tere saath marunga..
Hargiz mai kisi aur se Shaadi na karunga..
SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali,
(Karnatak)
Woh mere khoon ka pyasa hi aakhirash nikla.
Mai jiske waaste ek roz marne wala tha.
SHAYIR:
SALEEM KASHIF,
Chand Bagh, Delhi
Maqsad baghair jeeta hai jo is jahaan me..
Be-faida woh waqt ganwata hai umr bhar..
SHAYIR:
SIBTAIN PARWANA,
Katihar, Bihar.
No comments:
Post a Comment