Monday, May 24, 2010

urdu poetry part 113

Qiyamat se bhi badh kar fikr-o-gham ranj-o-alam unka.
Kisi muflis ki beti ka kahein rishta nahi milta.


SHAYIR:
SUHAIL ARSHI.






Dil me agar jahez ka lalach hai mojzan..
Behtar hai is se bheek tu dar dar ki maang le..


SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.






Nata na unse jodiye bhule se bhi kabhi..
Maange hain jo jahez badi aan baan se..


SHAYIR:
BISMIL Bhatkali.... (Goa)






Waado'n ka Ladke waale nahi karte aitibar..
Hota hai tay Nikah jahez dekhne ke baad..


SHAYIR:
AHMED NAZEER,
Vaniyambadi.








Jis jaga hoti hai daulat ki parastish yaaro..
Bhool kar bhi na waha'n Beti ka rishta karna..


SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali.






Dil me RAHAT phir bhi jaane khauf sa rehta hai kyun..
Go ke meri Laadli ke haath peele ho gaye..


SHAYIR:
ILYAS RAHAT






Khuda se nek hidayat bhi maang lete kabhi..
Jahez maangne walo'n ne kya nahi maanga..


SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER, Bangalore.






Ye muflisi me pali hai udaas mat rakhna..
Jahez de na saka tanha kamane wala..


SHAYIR:
YAMEEN FAIZI,
Garhi pukhta. (U.P.)




Paas toh kuchh bhi nahi tha phir ye bas usne kiya..
Bech kar gurda Bahen ke haath peele kar diye...


SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT




Jode me hi shaadi ke jal jaati hai ab dulhan..
Rakh di hai taraqqi ne rishto'n ki bina kaisi..


SHAYIR:
ILYAS RAHAT

No comments: