Monday, May 24, 2010

urdu poetry part 121

Woh bhi rukhsat huwe aur bahaare'n bhi gayi..
Mere ghar se na gayi mere sehan ki khushbu..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT,
Bangalore.







Tumhe tohfa koyi mai saal-e-nau par bhejta lekin..
Duawo'n ke siwa kya hai kisi muflis ke daman me..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT







Dhoke me aa ke mai ne jinhe'n apna dil diya..
Woh khelte rahe hain meri zindagi ke saath..

SHAYIR:
SURAJ Karnataki,
Hari Har







Tazkira ab yaad-e-maazi ka toh karna hai fuzool..
Kyun sunane aa gaye tum mujh ko bhooli dasta'n..

(SAIFULLAH ARSHAD SAIF)







Batawu'n kis tarah toota huwa hai aayina dil ka..
Sametu'n kaise bikhre dil ka ek tukda nahi milta..
-
SUHAIL ARSHI,
Bhatkal.









Dil toh kya jaan bhi ab tere hawale kar di.
Is se badh kar koyi saughat kaha'n se Lawu'n.

SHAYIR:
FAIYAZ SHAKEEB,
Bangalore.







Najane sochta rehta hun tanhayi me kya aksar,
Meri veeran palkaw par nami mehsoos hoti hai.

SHAYIR:
YAQOOB ASLAM
Vaniyambadi







Be tahasha hans rahe ho kya huwa DANISH tumhe'n..
Kal kahein aisa na ho k aankh paani chhod de..

SHAYIR:
AYUB BAIG DANISH







Bahut masroof rakkha hum ko unki yaad ne yaaro..
Bahut bechain ho kar hum ne kaati raat furqat ki..
-
MAZHAR
Chickmagaluri.







Tumhe tohfa koyi mai saal-e-nau par bhejta lekin..
Duawo'n ke siwa kya hai kisi muflis ke daman me..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT

No comments: