Monday, May 24, 2010

urdu poetry part 119

Socha tha mujh ko dekh ke rokega raah me..
Lekin ye kya k usne pukara nahi mujhe..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT,
Bangalore.







Rukh badal hi lengi ye sarkash hawaye'n ek din..
Hosala rakh raaste me ladkhadana chhod de..

SHAYIR:
SAIFULLAH ARSHAD SAIF.









Janazo'n ki Namazo'n me hai shirkat isliye Lazim..
Hame'n bhi zindagi ki shaam ka ehsaas ho jaaye..

SHAYIRAH:
Dr. Virottama







Ada toh Qarz mohabbat ka ham ko karna hai..
Hamari aankho ko ab ashkbar rehne de..

SHAYIR:
TALIB SIDDIQUI,
Darbhanga, Bihar.





Khuda se tumhe maang lene ki khatir..
Duawo'n me apni asar dhoondta hun.

SHAYIR:
Ghouse Peer Hamdard,
Davangere...







Mai teri khoj me aawarah phira karta hun..
Din me bhaunre ki tarah
Raat me jugnu ki tarah..

SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER
Bangalore.







Adl-o-insaaf ka Munsif hi jaha'n ho Qatil..
Be-gunahi ki waha'n kaun safayi dega..

SHAYIR:
BISMIL Bhatkali, GOA...







Haq baat ki tayeed se haasil nahi kuch bhi.
Munsif bhi toh Qatil ka tarafdar lage hai.

SHAYIR:
ABDULLAH RAAZ Deobandi (U.P.)







Ghar aap ke padosi ka tareek ho toh phir..
Qandeel apne ghar me jalaya na keejye..

SHAYIR:
SYED ABUBAKER MALIKI,
Bhatkal..





Daulat bhi milegi tumhe izzat bhi milegi..
Khidmat karo MAA-BAAP ki jannat bhi milegi..
-
SABA Darbhangvi, Darbhanga, Bihar.

No comments: