Monday, May 24, 2010

urdu poetry part 120

Unki bikhri huwi zulfau se pata chalta hai..
Ab muwafiq nahi halaat Khuda khair kare..

SHAYIR:
ANEES IBRAHIM,
Bangalore.







Teri jafawo ke is
Maraz-e-La dawa me hum..
Pata nahi hai k marte hain ya sambhalte hain..

SHAYIR:
GHOUSE PEER HAMDARD.







Hamari dosti ka dam jo bharte hain wahi MUKHTAR..
Ta'ajjub hai hamara naam aksar bhool jaate hain..

SHAYIR:
MUKHTAR BADRI





Nigah-e-yaar par LICENCE ka hona zaroori hai..
Ye bhi toh Qatl karti hai hame'n PISTOL ki tarha..

SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali



Mujh ko badnam na kar ishq ka archangel kar ke.
Kya milega tujhe shaidayi ko ruswa kar ke.

SHAYIR:
AFZAL SARWARI,
Ramanagram.







Thaam kar baitthiye dil apna zara aur sanam..
Namabar leke abhi meri khabar aata hai..

SHAYIR:
AHMED NAZEER,
Vaniyambadi.







Yu'n chhupa rakkha hai ab beete dinau ke zakhm ko..
Dard jab badhne lage toh muskura leti hun mai..

SHAYIRAH:
Dr. Virottama







Sab ke aibau pe nazar ham ne toh daali hai magar.
Ek nazar kyun na bhala khud pe bhi daali jaye.

SHAYIR:
SUHAIL NIZAM, HUBLI







Woh hi mujh ko bhool kar hai apni dunya me magan.
jiski yaado me hamesha muztarib rehta hun mai.

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkal







Manzil ka kuchh pata hai na apni hi kuchh khabar..
Chalta hi ja raha hun mai ek aarzu liye..

SHAYIR:
BISMIL Bhatkali..

No comments: