Monday, May 24, 2010

urdu poetry part 114

Ek dosheezah ne karli soch kar ye khud-kushi..
Aaj shaadi Dukhtar-e-muflis se karta kaun hai..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.







Kuchh bhi na haath aayega tazleel ke siwa..
Dukh dard apna sab ko sunaya na keejye..

SHAYIR:
SYED ABUBAKER MALIKI,
Bhatkal.







Pyar sachcha sahi lekin koyi wada na karo..
Aur kisi aur ke wade pe bharosa na karo..

SHAYIR:
YAQOOB ASLAM,
Vaniyambadi.







Shola tamaam umr woh samjhe rahe mujhe..
Is waaste gale se lagaya nahi mujhe..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT,
Bangalore....







Kaha'n phoolo'n me aisi taazgi hai..
Khuda ne jo tere chehre ko di hai..

SHAYIR:
TALIB SIDDIQUI,
Darbhanga,
Bihar- 847306









Mujh ko ab mauj-e-talatum ka nahi dar koyi..
Meri kashti ka nigehban Khuda hai yaaro..

SHAYIR:
SURAJ KARNATAKI,
Hari Har.







Tu ek baar karle jo wada nibah ka..
Ta-umr teri raah me baitha rahunga mai..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.
(Karnatak)









Hamare band labo me hai band unki haya.
Khule agar ye toh shikwe hazaar aaj bhi hai.

SHAYIR:
Ghouse Peer Hamdard,
Davangere.







Aur bhi marhale hain mere saamne..
Sirf tum hi nahi ho zaroorat meri..

SHAYIR:
SAIFULLAH ARSHAD SAIF, Chickballapur.







Ye dunya hai yaha'n SHABNAM Kabhi aisa b hota hai.
K pehchane huwe chehre bhi pehchane nahi jaate.

SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali.

No comments: