Auraaq ye tamaam jalayenge bin padhe..
Andho ke haath me na yu dil ki kitab de..
SHAYIR:
RAJ PREMI
Bangalore....
Auraaq ye tamaam jalayenge bin padhe..
Andho ke haath me na yu dil ki kitab de..
SHAYIR:
RAJ PREMI
Bangalore....
Ghussa hi sahi karte raho pyar se pehle..
Kis shaakh pe aa jate hain Gul Khaar se pehle..
SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER,
Bangalore.
Tu ne Ae-dost mujhe dil se bhula rakkha hai..
Mai ne yaado ko teri dil me basa rakkha hai..
SHAYIR:
ANEES IBRAHIM
Bangalore.
Ab bhi ye ummed hai tu laut kar aa jayega.
Shaam hote hi dariche me diya rakhta hun mai.
SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagar.
Teri aankho se Ae zalim chale hain teer jo paiham..
Inhi qatil nigaho se huwa hai khoon is dil ka..
-MAZHAR Chickmagaluri.
Daur-e-shabab me ye anhoki si baat hai..
Ho jaati hai kisi se mohabbat kabhi kabhi..
SHAYIR:
AHMED NAZEER
Vaniyambadi.
Ye zakhm dil ka hai k mahekta gulab hai..
Ud ud ke mere paas jo aati hain titliyaa'n..
SHAYIR:
RAJ PREMI
Bangalore..
Ye dard-e-mohabbat nahi har shakhs ki kismat..
Kehte hain mohabbat jise uski hai kasak aur..
SHAYIR:
FITRAT Bhatkali..
Phoolo ki woh raani hai woh phoolo me rahi hai..
Dosheezah-e-gulshan ke hai daman ki mahek aur..
SHAYIR:
FITRAT Bhatkali..
No comments:
Post a Comment