Kis Qadar zaalim huwa hai aaj kal ka ye samaaj..
2 dilau ke darmiyan diwaar ban kar reh gaya..
SHAYIR:
SYED MALIKI Bhatkal..
Haseen yu toh zamane me hain bahut lekin..
Mai kya karun k sitamgar haseen lagta hai..
SHAYIR:
YAQ00B ASLAM
Vaniyambadi.
Karvat badal badal k mai rota raha bahut..
Jab yaad hamsafar mujhe aaye tamaam raat..
SHAYIR:
SURAJ KARNATAKI
Hari Har..
Socha toh door tak mera dushman koyi na tha..
Dekha toh Qatilo me mera Hamsafar bhi hai..
SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER
Bangalore.
Zulf khole huwe baithe hain woh chhat par aise..
Baam par chand koyi aa ke tika ho jaise..
SHAYIR:
Shameem hayat
Bangalore.
Aaj bhi aksar uske meethe bol sunayi dete hain..
Jabke uski soorat dekhe
ek zamana beet gaya..
SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali
Ye FITRAT hi ka hai jigar gurdah yaaro..
Haseeno me reh kar bhi wo ba-vuzo hai..
SHAYIR:
Dr. M.H.FITRAT Bhatkali
(Karnatak)
Qabil-e-deed agar hai toh yahi manzar hai..
Mere meh**** mere saamne angdayi le..
SHAYIR:
Haneef Shah Shabnam, Bhatkali..
Mera dil tere ta'aqub me nikal jayega..
Mai toh reh jaounga tanha tujh rukhsat kar ke..
SHAYIR:
FAIYAZ SHAKEEB
Bangalore..
Chhupa kar rakh liya tha raaz-e-ulfat hum ne seene me.
Magar us bewafa ne khud hi ki tash'heer ulfat ki
MAZHAR Chickmagaluri
No comments:
Post a Comment