Rudad-e-ishq apni kis kis ko ab sunaown..
Dooba huwa hai gham me mera har ek fasana..
SHAYIR:
SURAJ KARNATAKI
Hari Har.
Ab woh mehki huwi zulfau ki haseen shaam nahi.
Uski baaho se bichhad kar mujhe araam nahi.
SHAYIR:
SIRAJ ZEBAYI
Vaniyambadi.
Ta-zindagi mai jisko bhula bhi na sakunga..
Afsos ! Usko apna bana bhi na sakunga..
SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT
Bangalore..
Daf'atann aankho ke aage uska aana kya kahun...
Hashr se pehle hi goya hashr barpa ho gaya...
SHAYIR:
Faiyaz Shakeeb
Chalo Ab aa bhi jao mai bahut bechain hun tum bin..
Shab-e-furqat ka har lamha sadi maloom hota hai..
SHAYIR:
IBN-E-HASAN
Qayamat tak rahega silsila jaari mohabbat ka..
Fida karte rahenge log dil apna haseeno par..
SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali.
Mile na tu mujhe 2 din toh aisa lagta hai..
Tujhe mile huwe beete hain zamane kitne..
SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagar.
Wo jin me aa ke rulata hai tu mujhe aksar..
Lage hain mujh ko wahi khwab suhane kitne..
SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagar.
Jab tak chaman se kaante nikaale na jayenge..
Hote rahenge phoolon k paikar lahu lahu..
SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER
Bangalore..
Ye bhi hai ajab ek ada-e-mohabbat..
Badi dilnasheen hai jafa-e-mohabbat..
SHAYIR:
Dr. Mohammad Husain Fitrat Bhatkali..
No comments:
Post a Comment