Najane kiske haataw sonp di patwaar ulfat ki..
K mauj-e-gham me ghir kar reh gayi kashti mohabbat ki..
-MAZHAR Chickmagaluri
Nahi jazbaat qabu me, k dil me ek qayamat hai.
Mere dil me tum hi tum ho,mujhe tum se mohabbat hai.
SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali
Lahu behta hai aankho se hamari sham-e-furqat me.
Hamari tarha kab dekhi hai tum ne shaam ghurbat ki.
-MAZHAR
Chickmagaluri.
Dil me meri yaad rehne deejye...
Mujh ko bhi abaad rehne deejye...
SHAYIR:
Syed Abubaker Maliki,
Bhatkal. (Karnatak)
Aashiqi jisko samajhte hain zamane waale..
Daulat-e-gham hi nahi dard ki soghaat bhi hai..
SHAYIR:
Anees Ibrahim,
Bangalore.
Seh lunga har sitam ko bina kuchh kahe magar..
Pehle purane zakhm toh bhar jaane deejye..
SHAYIR:
AHMED NAZEER
Vaniyambadi.
Socha tujhe toh zehn ki waadi mahek uthhi..
Likkha jo tera naam chamakne lagi GHAZAL..
SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER
Bangalore.
Hoti hai bewafayi kahan har kisi ke saath..
Kehta kahan hai ishq me har aadmi GHAZAL..
SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER
Bangalore.
Tamasha dekh sakta hun mai khud apni tabahi ka..
Tumhari aankh me aansu gawarah kar nahi sakta..
SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkal
Naseeba jaag utha guldan ke kaghaz ke phoolon ka..
Hawawo me tumhare jism ki kushbu mehekti hai..
SHAYIR:
SIRAJ ZEBAYI..
No comments:
Post a Comment