Satati hai SURAJ ye tanhayiya ab,Mujhe yaar ka kuch pata dijyega.Sawal-e-tamanna ki taskeen hogi,Jawab-e-mohabat zara dijyega
Likkhun mai uss pe sher toh aisa ho mojiza..
Kaghaz pe mujh ko uska hi chehra dikhayi de..
SHAYIR:
SIRAJ ZEBAYI
Chaha tha jinko hum ne dil-o-jaan ki tarah..
Aaj unke ghar me baithe hain mehman ki tarah..
SHAYIR:
AHMED NAZEER
Vaniyambadi
Chale gaye woh museebat me mubtila kar ke..
Naqab daal li ek bar saamna kar ke..
SHAYIR:
Haneef Shah Shabnam Bhatkali.
Mai teri khoj me aawarah phira karta hun..
Din me bhaunre ki tarah
Raat me jugnu ki tarah..
SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER
Bangalore.
Teri palkaw k saaye me mere jo khwab palte hain..
Wahi sapne mere tanha safar me saath chalte hain..
SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT.
Reh jaaye bharam apna dunya ki nigaho me..
Har khat ko mere padhna, padh padh ke jala dena..
SHAYIR:
ANEES IBRAHIM
Bangalore
Tu ek baar karle jo wada nibah ka..a
Ta-umr teri raah me baitha rahunga mai..
SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali..
******
Likh likh ke khat uda diye hum aasman par..
Paigham Baab-e-yaar pe pahoncha gayi hawa..
SHAYIR:
AHMED NAZEER
Vaniyambadi.
Nas nas me lahu ban ke dawdti hai teri yaad..
Ab tu hi bata kaise koyi tujh ko bhulaye..
SHAYIR:
BISMIL Bhatkali..
No comments:
Post a Comment