Woh aag jis me mera dil tamaam umr jala..
Tum ek raat bhi jalte toh khaak ho jaate..
SHAYIR:
SARDAR AYAGH
Bangalore.
Dunya-e-mohabbat me kuchh bhi na raha apna.
Ye jaan bhi tumhari hai ye dil bhi tumhara hai.
SHAYIR:
ANEES IBRAHIM
Bangalore.
Agar kuchh de sako usko toh koyi naam de dena..
Kahein par raat bhar shama yunhi benaam jalti hai..
SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT.
Tere ek basne se bas gaya tha dil mera..
Bin tere mere dil me ab raha nahi koyi..
SHAYIR:
Syed Abubaker Maliki Bhatkal..
Tujh ko jaana tha agar tod k wade yunhi..
Saath apne ye mere hosh bhi tu le jata..
SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagar, U.P.
Saath dene ka jo tum wada karo..
Zindagi apni kate araam se..
SHAYIR:
SURAJ KARNATAKI
Neel kanth nagar
Hari Har -577601
Dil dhadakta hai tumhare naam se,Mai nahi darta kisi anjam se.
Bekali badhne lagi dil ki mere,Abhi jao muntazir hun shaam se.
Shab-e-gham ke andhere me tere husn-e-tasauwur se..
Rag-e-jaan ke bahut nazdeek paayi roshni hum ne..
SHAYIR:
FAIYAZ SHAKEEB
Amraaz-e-badan ke toh mualij hain hazarau..
Bimar-e-mohabbat ki dawa kaun karega..
SHAYIR:
Haneef Shah Shabnam Bhatkali..
Ghair ki subho me tu hai, Ghair ki shaamau me tu..
Mai samaajhta tha meri taqdeer mere paas hai..
SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER,
Bangalore.
No comments:
Post a Comment