Chhed di guzre zamane ki kahani kis ne..
Bhar diya jheel si aankho me ye paani kis ne..
SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagar.
Mujhe aap se ho gayi hai mohabbat..
Khatawar hun mai saza deejyega..
SHAYIR:
SURAJ Karnataki
Neel kanth nagar,
Hari Har..
Kuchh log mohabbat me is tarha bhi rote hain..
Palkaw pe kabhi jinke aansu nahi hote hain..
SHAYIR:
BISMIL Bhatkali..
Jo ghata gayi ghata ko woh ghata hai zulf teri..
Yahi keh gayi hai mujh ko barsaat chalte chalte..
SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT
Ab de bhi do na dil me jaga mujh ko Ae-Sanam..
Aashiq hun mai tumhara karo mujh pe aitibaar..
SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.
Dil cheez kya hai Jaan bhi kar dunga mai nisaar..
Bas ek baar mujh ko mohabbat se tu pukar..
SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.
Janazah dekh kar
mera woh kehti hai
ye logo se..
Wafadari ka paikar tha mera ye chahne wala..
SHAYIR:
SHAAD JAMAYI
Tere honto se tabassum bhi chhupaya na gaya.
Mai ne palkaw me samandar ko chhupa rakkha hai.
SHAYIR:
FAIYAZ SHAKEEB B'lore..
Tujhe dekh kar
meri jaan aksar ye
sochta hun..
Shayad khuda ne
tujh ko mere liye
banaya..
SHAYIR:
SHAAD JAMAYI
Bhatkal..
Be sabab dil ko mere aap dukhaya na karein..
Baarha zakhm naye dil pe lagaya na karein..
SHAYIR:
SURAJ Karnataki
Hari Har.
No comments:
Post a Comment