Nas nas me lahu ban ke dawdti hai teri yaad..
Ab tu hi bata kaise koyi tujh ko bhulaye..
SHAYIR:
BISMIL Bhatkali..
Unke haato ki lakeero me likha hai mera naam.
Ho gaye wo sharm se paani ****li dekh kar.
SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagar.
Jo zakhm diya uss ne saja rakkha hai dil me..
Hum se toh amanat me khiyanat nahi hoti..
SHAYIR:
FAIYAZ SHAKEEB
Bangalore.
Chain ka khatima na ho jaye,Ishq ki ibtida na ho jaye.Phool se rukh pe daal do parda.Hum se koyi khata na ho jaye.
-R.ZAMEER
Zeest ke jo bhi thay dastoor nibhaye hum ne..
Phool ya khaar ho seene se lagaye hum ne..
SHAYIR:
MAZHAR Chickmagaluri.
Shu'aayein subh ki aayi naya paigham leker phir..
Chahakne lag gayi chidiya tumhara naam leker phir..
SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT.
Usko mera saath chhode ek zamana ho gaya..
Saath uski yaad ne lekin mera chhoda nahi..
SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.
Mai teri tasweer le kar baith jata hun kahein..
Achha lagta hai yahi ek kaam tere pyar me..
SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER
Bangalore.
Shayed saja liye thay woh zulfau me kehkasha..
Shab bhar falak pe ek bhi tara nahi mila..
SHAYIR:
AHMED NAZEER
Vaniyambadi.
Shab-e-gham ke andhere me tere husn-e-tasauwur se..
Rag-e-jaan ke bahut nazdeek paayi roshni hum ne..
SHAYIR:
FAIYAZ SHAKEEB
No comments:
Post a Comment