Gham-e-hayat pe Rang-e-suroor chha jaaye..
Zara sa Dast-e-hinayi badha hamari taraf..
SHAYIR:
Dr. Suhail Nizam, HUBLI.
Ho gayi tu kyun hamare saamne yun be-naqab..
Doob jayenge teri aankho ke paimano me hum..
SHAYIR:
KAMAL AHMED,
Mumbai.
Waqt-e-nazaa
kisi ne mere kaan me
kaha...
Tum bin jiya na
jaaye mujhe saath
le chalo...
SHAYIR:
SHAAD JAMAYI
Bhatkal.
Chale bhi aao k aa jaayegi bahaar ki ruth..
Bani hai aag ka bistar ye intizar ki ruth..
SHAYIR:
FAIYAZ SHAKEEB,
Bangalore.
Tumhare qurb ne mujh ko samet rakkha hai..
Jo door hote toh kab ka bikhar gaya hota..
SHAYIR:
TALIB ZAIDI,
Meerut -250002
Har jawan Ladki ke haq me keejye Rab se dua..
Nek Dulha ki ilahi tu usay Dulhan bana..
SHAYIR:
HAROON SAIT SALEEM,
Bangalore
Patthar toh dastiyab hain Gohar ki hai talash..
Ladki kunwari baithi hai Shohar ki hai talash..
SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali.
Please co-operate with us by persuading ur dear ones to activate GHAZAL4U
For activation:
sms
START GHAZAL4U
to
09223050606
Sukoon kaisa Kahan ka chain Rahat kisko kehte hain..
Natija dekhle Ae-dil, kisi se dil lagane ka..
SHAYIR:
FAIYAZ SHAKEEB
Khwabo ke jazeero par bikhre hai haseen manzar..
Jaane meri aankho me ye kis ka basera hai..
SHAYIR:
ILYAS RAHAT.
No comments:
Post a Comment