HADEES:
Prophet (pbuh) said:
"Whoever fulfills the needs of his Brother,Allah fulfills his needs". (BUKHARI)
** ** **
Whenever a Muslim supplicates for his(Muslim) brother in his absence,the angels say: May the same be for u too
[Muslim]
Jo log mohabbat ko samajhte hain ibadat..
Woh log mohabbat ki tijarat nahi karte..
SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali...
Unke aane ka sabab kya hai khuda hi jaane..
Be-sabab kaun kisi aur ke ghar aata hai..
SHAYIR:
AHMED NAZEER
Vaniyambadi.
Jo hamdard tha woh bhi bedard nikla..
Kise ranj-o-gham me gale se lagayein..
SHAYIR:
SURAJ KARNATAKI
Hari Har.....
Qabil-e-deed agar hai toh yahi manzar hai..
Mere MEHB00B mere saamne angdayi le..
SHAYIR:
Haneef Shah Shabnam, Bhatkali..
Uske hansne se khanakti hain umangein dil me..
Meri bachpan ki tamanna pe jawani aayi..
SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT
Bangalore.
Bhool ja usko dil-e-muztar tadapna chhod de..
Jaane waale laut kar wapas kabhi aate nahi..
SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.
Pyar unhi me baanta hum ne umr guzari unke sang..
Jinki nigaho me nafrat thi jinke dilau par gehra zang..
-MUKHTAR BADRI.
Kar daali husn waalo ne apni hatheliya'n..
Mere lahu ke hote huwe bhi hina ke naam..
SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER
Bangalore.
No comments:
Post a Comment