Jaane kya baat hai kuchh din se meri aankho me..
Neend aati hai magar khwab nahi aate hain..
SHAYIR:
NAZIM ASHRAF.
Bichhad k tum se is dil ka na jaane haal kya hoga..
Tumhe paane se pehle hi Tumhe khone se darta hun..
SHAYIR:
Yunus Naveed.
Mere dosto ko shayed mera kuchh pata nahi hai..
Kayi din huwe kisi ne mujhe khat likha nahi hai..
SHAYIR:
RIZWAN NAZIM.
Tere dil me baat kya hai ye Khuda hi jaanta hai..
Mere dil me tujh se behtar koyi doosra nahi hai..
SHAYIR:
RIZWAN NAZIM.
Yu paas se na jaao tum ajnabi se ban kar..
Phir meri rah-guzar me badh jaayenge andhere..
SHAYIR:
MUKHTAR BADRI Krishnagiri.
Muska ke usne li thi ijazat vida ki..
Aankho se ta-hayat woh manzar na jayega..
SHAYIR:
NADEEM FAROOQI
Ramanagram.
Hum ne toh bichhayi hain aankhein teri raaho me..
Ye chand sitaare bhi shamil hain gawaho me..
SHAYIR:
SIRAJ ZEBAYI
Tere rukh pe 1 pardah,toh kayi hawa k jhonke..
Kabhi subh ho rahi hai, Kabhi shaam ho rahi hai..
SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER.
Hum ne toh bichhayi hain aankhein teri raaho me..
Ye chand sitaare bhi shamil hain gawaho me..
SHAYIR:
SIRAJ ZEBAYI
Raah takta hun mai zamane se..
Aa bhi jaao kisi bahane se..
SHAYIR:
AHMED NAZEER
Nethaji nagar,
Vaniyambadi- 635753.
No comments:
Post a Comment