Hans diya hai kaun aa kar ye khayalo me mere.
Yun meri tanhayiyo ke pal rangeele kar diye.
SHAYIR:
Shameem hayat,
Bangalore.
Jab b karta hun pyar ka izhar.Rooth jate hai aap kya kijye.Pyar krna haram hai shayed.kam se kam bat kar liya kijye
R.ZAMEER
Rangau ke aayine me taqdeer bolti hai..
Mai chup rahun toh kya hai tasweer bolti hai..
SHAYIR:
AHMED GULAB
Vaniyambadi.
Dil-e-mayoos me ummeed abhi baqi hai..
Vasl haasil mujhe hoga tera insha'allah..
SHAYIR:
Haneef Shah Shabnam,
Bhatkal..
Dekhte hi dekhte is dil ko jaane kya huwa.
Husn pe shayed tumhare dil ye shaida ho gaya.
SHAYIR:
SURAJ KARNATAKI,
Hari Har.
Dekhte hi dekhte is dil ko jaane kya huwa.
Husn pe shayed tumhare dil ye shaida ho gaya.
SHAYIR:
SURAJ KARNATAKI,
Hari Har.
Mai jis sawal ki jur'at na kar saka us se..
Woh meri mez pe uska jawab chhod gaya..
SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagar.
Bewafa se bhi wafa hi keejye ye soch kar..
Is jahan me dardmandi ka sila deta hai kaun..
SHAYIR:
MAZHAR Chickmagaluri.
Zakhm dhoondte kyun ho aashiqo ke jismo par...
Zakhm dil pe lagte hain jism par nahi
lagte...
SHAYIR:
SHAAD JAMAYI..
Bechta phirta tha kal tak mai dawa-e-darde dil.
Unko kya dekha k bas bimar jaisa ho gaya.
SHAYIR:
MUKHTAR BADRI
Krishnagiri.
Saath tera mil na paya mil gayi tanhayiya'n.
Pyar k badle me dilbar tu ne ye kya de diya?
SHAYIRAH:
SABA Karnataki
Hirekerur
No comments:
Post a Comment