Nafrat-o-yaas ko is dil se mitana hoga..
Ek naya shahr mohabbat ka basana hoga..
SHAYIR:
SURAJ Karnataki,
Hari Har..
Jahan tak zindagi mehsoos hogi..
Mujhe teri kami mehsoos hogi..
SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER,
Bangalore....
** ** ** **
Jab kabhi khwahish-e-didar-e-qamar hoti hai..
Teri tasweer mai haato me liya karta hun..
SHAYIR:
SHAAD JAMAYI,
Bhatkal..
Tum ho toh ye lagta hai pur-noor sawera hai..
Warna meri dunya me har samt andhera hai..
SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagar.
Zindagi me logo se rabita zaroori hai..
Phir bhi har ta'alluq me fasila zaroori hai..
SHAYIR:
MUKHTAR BADRI,
Krishnagiri..
Bhoolne par bhi bhula pata nahi..
Uski soorat aaj bhi hai har taraf..
SHAYIR:
Syed Abubaker Maliki,
Bhatkal...
* * * *
Ladkiya'n guzri hazarau meri nazrau se magar..
Mujh ko tere roop ki ye Saadgi achhi lagi..
SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali..
Aa jaao k tanhayiya'n ab dasne lagi hain..
Chubti huwi kaanto ki tarha raat chali hai..
SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT,
Bangalore..
Tu na aa jaayega gar laut ke wada kar ke..
Tu bhi tadpega mere saath ye dhoka kar ke..
SHAYIR:
BISMIL Bhatkali..
Ab kar ke mohabbat hum is raaz ko samjhe hain.
Ye pyar haqeeqat me neendo ka lutera hai.
SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagar.
No comments:
Post a Comment