Kyun chhalak aati hain mujh ko dekh kar aankhein teri..
Haal mai ne ab talak apna sunaya bhi nahi..
SHAYIR:
ILYAS RAHAT..
Kabhi iqraar karta hai Kabhi inkaar karta hai.
Khayal aa kar hamein aksar tera bimar karta hai.
SHAYIR:
NAZEER RAHI
Kolkata.
Itni kahan thi taab ke didaar kar sake..
Ghash kha ke gir pada hai tujhe dekhne ke baad..
SHAYIR:
Dr. Suhail Nizam,
Hubli..
Aksar bujha bujha sa mai rehta hun in dinau..
Kya ho gaya na jane tujhe dekhne ke baad..
SHAYIR:
Dr. Suhail Nizam,
Hubli..
Jab woh janega mera usse bichhadne ka sabab..
Woh bhi royega mere haal pe aksar tanha..
SHAYIR:
Bismil Bhatkali..
Jab talak zikr-e-gham nahi hota..
Ishq bhi mohtram nahi hota..
SHAYIR:
AKBAR ZAHID,
Vaniyambadi.
*** ** * ** ***
Bheege mosam ki Barisho me.Chhat pe aakar naha liya kar.HAYAT aksar tu muskura kar.Ashk apne chhupa liya kar.
-SHAMEEM HAYAT
Kasak dil ki nigaho se huweda hone lagti hai.
Tumhare gham ki ab mujh se hifazat ho nahi sakti.
SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkal.
Pyar toh woh hai k peechhe ek kahani chhod de..
Kuch na kuch toh pyar ki koyi nishani chhod de..
SHAYIR:
NIYAZ UMARI
No comments:
Post a Comment