Patthar pe likh ke naam mitaya na jayega..
Yaado ko teri dil se bhulaya na jayega..
SHAYIR:
SURAJ Karnataki,
Hari Har.
Aadmi ko dekhiye pehchaniye phir boliye..
Tum kabhi halaat ke maaro ka dil na todiye..
SHAYIR:
BISMIL Bhatkali...
Is se pehle k hum samajhte woh..
Dil me nashtar kayi chhubo baithe..
SHAYIR:
AHMED NAZEER,
Nethaji nagar,
Vaniyambadi..
Gham nahi dil me gar jaga na mili..
Hum teri anjuman me toh baithe..
SHAYIR:
AHMED NAZEER,
Nethaji nagar,
Vaniyambadi...
Thi is Qadar haseen k pehli nazar me hi..
Dil uske husn par mera Qurban ho gaya..
SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali....
Band palke kiye baitha jo mai tanhayi me..
Phir wahi saamne tasweer purani aayi..
SHAYIR:
Shameem Hayat,
Bangalore.
Jab kabhi yaad woh bhooli si kahani aayi..
Badh gayi dhadkane saanso me rawani aayi..
SHAYIR:
Shameem Hayat,
Bangalore..
Ye jo kuchh chehre nazar aate hain tum ko mutmayin..
Jhaank kar dekho toh andar hai pareshani bahut..
SHAYIR:
ILYAS RAHAT.
No comments:
Post a Comment