Jiski kuhshiyo'n ki khatir bahaya lahu..
Woh mujhe gham ki barish me nehla gaya..
SHAYIR:
MAHTAB AAZAD DEOBANDI. (U.P.)
Is Qadar kyun tang hai BURQA tera Ay naznee'n..
Kya numayish jism ki karna tujhe maqsood hai...???
SHAYIRAH:
SHEHNAZ GHAZAL
Badan me jitna Lahu tha ni**** aaye ham..
Hai lalazaar ka chehra bujha bujha phir bhi..
SHAYIR:
AHMED NAZEER,
Vaniyambadi.
Khol se apne nikal chehro'n ko padhna seekh le.
Ajnabi logo'n me tujh ko aashna mil jayega.
SHAYIR:
ILYAS RAHAT
(U.P.)
Ho gaye thay jo nichhawar unko kya maloom tha..
Is watan ke log aapas me ladenge ek din..
SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam
Aa jaao k tanhayiya'n ab dasne lagi hain..
Chhubti huwi kaanto'n ki tarah raat chali hai..
SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT,
Bangalore.
Dunya me ab to Haseeno ka ghar se b nikalna mushkil hai,
Bebaak nigaho ki unpar har gaam pe barish hoti hai.
BISMIL BHATKALI
Baal-o-par se baat hargiz ban nahi sakti ZAMEER.
Hausla bhi chahiye unchi udaano'n keliye.
SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER.
Bangalore.
BAAB-E-MEKADA hai ye KHAANQA nahi zahid..
Aap kaise aa baithe ham gunaahgaro'n me..
SHAYIR:
ABDULLAH RAAZ Deobandi. (U.P.)
Wo khushi ka payam laye hain,
Jashn-e-matam mana raha hun mai.
Wo to wada-shikan hain Ay SURAJ,
Apna wada nibha raha hun mai.
No comments:
Post a Comment