Tum mere paas nahi phir bhi ye lagta hai mujhe..
Chhup ke woh mujh ko kahein dekh rahi hain aankhe'n..
SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Daman me mere gham ki chingariya'n rahengi.
Jab tak na ashk teri aankho'n me jhilmilaye'n.
SHAYIR:
KHALID FATEHPURI,
Lucknow
Hamare dost bhi thay saamne Lashkar me dushman ke.
Wagarna dushmano'n ka ham safaya kar gaye hote.
SHAYIR:
BISMIL Bhatkali..
Dil de ke dil ko dil ke tadapne me hai maza..
Ye woh hi jaanta hai jo bimar-e-ishq hai..
SHAYIR:
YAHYA AL-WASIQ
Deobandi.
Mufaraqat ki raat ka bhi kuchh alag hi lutf hai..
Jo bujh gaye
charagh-e-shab toh dil ke daagh jal pade..
-
SHAMS Deobandi.
Tere honto se tabassum b chhupaya na gaya.
Mai ne palkaw me samandar ko chhupa rakkha hai.
SHAYIR:
FAIYAZ SHAKEEB,
Bangalore
Phir gayi hogi meri shakl haseen aankho'n me..
Ghair ne uske jo ghunghat ko uthaya hoga..
SHAYIR:
MAHTAB AAZAD Deobandi...
Hamare saath me tum do Qadam bhi chal na sake..
Tumhari yaad ke ham ab bhi saath chalte hain..
SHAYIR:
GHOUSE PEER HAMDARD
Rahguzar jhilmila uthi sari,Kaun raste pe muskurata hai.
Kaun bad-e-bahaar ki manind,Meri yaado'n me sarsarata hai.
-
S.HAYAT
Rota hai tere gham me dekho SABA ye kaise..
Dil mom ki tarah se mera pighal pighal ke..
SHAYIR:
SABA DARBHANGVI,
Bihar.
Le legi meri jaan ye furqat ki aandhiya'n..
Tum bin jiya na jaaye mujhe saath le chalo..
SHAYIRAH:
NOURIN MAHEK
____ ____
Ham dost thay toh kuchh bhi na tha darmiyan me.
Ab dushmani bhi kar kisi diwaar k baghair.
SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER,
Bangalore.
Mila na jiska kabhi daman-e-hasee'n ham ko..
Usi ki yaad me aansu bahaye jaate hain..
SHAYIR:
KHALID FATEHPURI,
Lucknow.
Hangama-e-hayat se ghabra gaya hun mai..
Ab hai kaha'n sukoon jo tanhayiyo'n me tha..
SHAYIR:
Zia Karnataki,
Bangalore.
Mila na jiska kabhi daman-e-hasee'n ham ko..
Usi ki yaad me aansu bahaye jaate hain..
SHAYIR:
KHALID FATEHPURI,
Lucknow.
Ham dost thay toh kuchh bhi na tha darmiyan me.
Ab dushmani bhi kar kisi diwaar k baghair.
SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER,
Bangalore.
Please co-operate with us by persuading ur dear ones to activate GHAZAL4U
For activation:
sms
START GHAZAL4U
to
09223050606
Hangama-e-hayat se ghabra gaya hun mai..
Ab hai kaha'n sukoon jo tanhayiyo'n me tha..
SHAYIR:
Zia Karnataki,
Bangalore.
Jo waqt-e-saher momin ki aankh se behte hain..
Woh ashk bujha sakte hain aag jahannam ki..
SHAYIR:
Saifullah Arshad Saif
Ek na ek din chain ki aaghosh me so jayenge.
Bas isi ummeed par ham khud ko behlate rahe.
SHAYIR:
Zia Karnataki,
Bangalore.
No comments:
Post a Comment