Bichhad k tum se is dil ka na jaane haal kya hoga..
Tumhe paane se pehle hi Tumhe khone se darta hun..
SHAYIR:
YUNUS NAVEED
Arshad woh tere waaste khushbu thi pyar ki..
Naraaz ho ke jisko khafa tu ne kar diya..
SHAYIR:
Saifullah Arshad Saif.
Aaj phir hai mujhe khoyi huwi yaado'n ki talash..
Kis ne maazi ke jharoko'n se sadaye'n di hain..
SHAYIR:
MUKHTAR BADRI
Hadiso'n ka khauf phir rehta nahi IBN-E-HASAN..
Waqt-e-rukhsat ghar se jab Maa ki dua leta hun mai..
SHAYIR:
IBN-E-HASAN
Us se badh kar bhi zamane me Vali hai koyi..
Jisne ghurbat me bhi imaan bacha kar rakkha..
SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam.
Bartao agar sab se mohabbat ka karoge..
Har dil me sada aap ka samman rahega..
SHAYIR:
ABDUL SAMAD RAHI,
Sojat. (Rajasthan)
Meri toh kayinat hai teri panaah me..
Jawu'n kidhar ab utth ke mai teri panaah se..
SHAYIR:
KHALID FATEHPURI,
Lucknow...
Jisko zamee'n par dhang se chalna aa na saka..
Woh udne ko par phailaya karta hai..
SHAYIR:
Faiyaz Shakeeb,
Bangalore.
Mile na tu mujhe 2 din toh aisa lagta hai..
Tujhe mile huwe beete hain zamane kitne..
SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagari.
Kya ye hi naye daur ki tahzeeb hai yaaro..
Jisko bhi yaha'n dekho adakaar lage hai..
SHAYIR:
ABDULLAH RAAZ
Deobandi. (U.P.)
No comments:
Post a Comment