Jaise dhadak uthe mere seene me zalzale..
Qabu nahi hai dil pe tujhe dekhne ke baad..
SHAYIR:
SURAJ Karnataki,
Hari Har.
Jab se raha na saath tera zindagi ke saath.
Dil ka suku'n bhi kho gaya lab ki hansi ke saath.
SHAYIR:
MAHTAB AADAZ
Deobandi.
Nazar kyun daalta hai ghair ki Beti pe ai zalim..
Tumhare ghar me bhi Beti syaani hone wali hai..
SHAYIR:
SABA DARBHANGVI
Raat din aise tera intizaar karti hun..
Shama jalti ho koyi jaise khaak hone tak..
SHAYIRAH:
Dr. Virottam Sargam,
Bangalore.
Woh dekhega suhane khwab kaise..
Jo saari zindagi soya nahi hai..
SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagari,
Ghari pukhta. (U.P.)
Hamari zaat hi mumkin hai teri Manzil ho..
Kabhi toh apne Qadam bhi utha hamari taraf..
SHAYIR:
Dr. Suhail Nizam,
(Hubli)
Jis lafz-e-mohabbat se takhleeq hai dunya ki.
Woh lafz-e-mohabbat ab ghayib huwa dunya se.
SHAYIR:
Khalid Fatehpuri.
(U.P.)
Thikana sar chhupane ka zamane ko jo dete thay..
Thikana ab unhe milta nahi hai sar chhupane ka..
SHAYIR:
ABDUL SAMAD RAHI
Waha'n waha'n pe bikharti hai dosto khushbu..
Jaha'n jaha'n se woh jaan-e-chaman guzarti hai..
SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali..
Hawa mere dariche me kuchh aise sarsarati hai.
Mai tera hun tu meri hai yahi awaaz aati hai.
SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT
Bangalore
No comments:
Post a Comment