Ehsaas ke zakhmo'n ko mai kis tarha dikhawu'n.
Jinki koyi surat koyi tasweer nahi hai.
SHAYIR:
BISMIL Bhatkali.
(Karnataka)
Ham nasheeni me rahe hain apni yaado'n ki sada.
Ham na thay tanha kabhi tanhayiyo'n ke baujood.
SHAYIR:
MAHB00B RAHI,
AKOLA.
Bidayi ka kisi ki jab woh manzar dekhti hogi.
Mujhe Dulhe ke sehre me woh aksar dekhti hogi.
SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT
Bangalore
Unse puchha mai ne jab tark-e-ta'alluq ka sabab..
Woh mujhe Heero'n jade kangan dikha kar ro pade..
SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Ajeeb lutf hai SARGAM gham-e-mohabbat me..
Ye dard woh hai bahut kam naseeb hota hai..
SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam
Meri ghurbat hai faqat tere bichhadne ka sabab..
Bas isi gham ne mujhe ab bhi sata rakkha hai..
SHAYIR:
MAHTAB AAZAD,
(U.P.)
Shayed mere suku'n se tumhe ikhtilaaf hai..
Kyun yaad aa rahe ho bhulane ke baad bhi ??
SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER,
Bangalore.
Kehte hain mere Qatl me woh haath hai shamil..
Mai ne kabhi jis haath me khanjar nahi dekha..
SHAYIR:
FAIYAZ SHAKEEB.
EHSAN door hi se karo tum unhe salaam..
Udte hain jo ghubaar ki soorat hawa ke saath..
SHAYIR:
EHSAN Mukarrampuri,
Delhi.
Aarzu dil ki dil me dabi reh gayi.
Qaid ho kar meri har khushi reh gayi.
SHAYIR:
SURAJ KARNATAKI
Neel kanth nagar,
Hari Har.
No comments:
Post a Comment