Fasila itna ziyada na rahe chahat me..
Toot jaaye na kisi roz ye rishta ban kar..
SHAYIRAH:
Shayista Jamal,
Bhopal...
Waqt bekaar me baithe huwe zaya na karo.
Kaam aaye jo kisi k toh ye achchha hoga.
SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam,
Bangalore.
Ye uski mohabbat ka karishma hai k dekho..
Kaanto bhari dunya mujhe gulzaar lage hai..
SHAYIR:
ABDULLAH RAAZ
Deobandi.
Le de ke faqat thodi si saanse'n hain mere paas.
Na Qabil-e-bardasht ye anjaam bahut hai.
SHAYIR:
AHMED NAZEER,
Vaniyambadi.
Zulm-o-sitam ki dhoop toh le legi meri jaan..
Rehna padega ab mujhe kaali ghata ke saath..
SHAYIR:
Ehsan Mukarrampuri
Phir raha hun mai hatheli par waha'n jugnu liye..
Jis shaher me hai charagho'n ke bujhane ka chalan..
SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Lagta hai k mai tere muqaddar me nahi hun..
Chhup chhup ke meri yaad me aansu na baha tu..
SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali...
Hausala na haarna halaat badlenge HAYAT..
Toot kar sheesha ho jaise kyun bikhar jaate ho tum..
SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT
Siwa kaanto'n k daman me hamare kuch nahi warna,
Tere daman ko phoolo'n se khushi ke bhar gaye hote.
SHAYIR:
BISMIL Bhatkali
Mujhe kajal samajh kar hi laga lo apni aankho'n me..
Ye aisa rang hai k umr bhar pheeka nahi hota..
-
NAZEER RAHI,
Kolkata.
No comments:
Post a Comment