Khushbu gulo'n me hai na sitaro'n me hai chamak..
Gulshan se mere woh gaya sab rang-o-bu liye..
SHAYIR:
BISMIL Bhatkali...
Socha toh door tak mera dushman koyi na tha..
Dekha toh Qatilo'n me mera Hamsafar bhi hai.
SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER,
Bangalore.
Usne har ek ko nawaza hai kisi khoobi se..
Achchhi surat na mili jisko toh kirdaar mila..
SHAYIRAH:
Dr. Virottama Sargam.
Musarrat aur khushi se waasta kuch bhi nahi ham ko.
Bafaiz-e-gham hame'n aadat huwi hai muskurane ki.
SHAYIR:
SIKANDAR AAQIL
Kuchh pyas toh sookhi huwi mitti ki bujhegi..
Kuchh kaam toh aa jayega jo ashk gira hai..
SHAYIR:
YASEEN PARVEZ,
(New Delhi)
Khabar sunte toh hain us sang-dil ke dil me aane ki..
Khuda maloom kya soorat bane
aayina-khane ki..
SHAYIR:
AHMED MAHFOOZ
Jo ahl-e-nazar hain ye unhe khoob pata hai.
Lafzo'n ke tabassum me mera dard chhupa hai.
SHAYIRAH:
SALMA SAHEEN,
(New Delhi)
Lo ab zid chhod di mai ne tumhe apna banane ki..
Qasam khayi hai lekin umr bhar rishta nibhane ki..
SHAYIR:
FARMAN CHAUDHRI
Chhed mat ham ko saba chup chaap apni raah le..
Jaane kyun dil aaj apna is Qadar bezaar hai..
SHAYIR:
GHOUSE PEER HAMDARD
Ho gayi mai paani paani sharm se..
Jab kabhi sar se dupatta gir gaya..
-
SABA DARBHANGVI,
Dharampur, Darbhanga. (Bihar)
No comments:
Post a Comment