Qatil ko mai dekh na pawu'n kala kapda pehna do..
Woh khud mera yaar ho shayed aisa bhi ho sakta hai..
SHAYIR:
Syed Bhatkali
Ye na puchho hanste hanste aankh kyun nam ho gayi..
Ek tasauwur aa gaya tha zehn me bhoola huwa..
SHAYIR:
YAQOOB ASLAM
Ham ne koshish toh bahut ki k mita de'n lekin..
Silsile yaado'n ke aise hain k ban jaate hain..
SHAYIR:
ANEES IBRAHIM...
Ban mera raazda'n ya bana apna raazda'n..
Ho jaaye chaahta hun koyi aaj faisala..
SHAYIR:
MUKHTAR BADRI,
Krishnagiri...
Amraaz-e-badan ke toh mualij hain hazarau..
Bimar-e-mohabbat ki dawa kaun karega..
SHAYIR:
Haneef Shah Shabnam Bhatkali..
Lab tere misre hain aise sher ke..
Jo ghazal me sab se pyara ho gaya..
SHAYIR:
GHOUSE PEER HAMDARD,
Davangere.
(Karnataka)
Hazaro'n jheel si aankho'n ko dekha hai zamane me..
In aankho'n si kahein dekhi nahi jadugari mai ne..
SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Apna zameer bech ke woh ho gaya ameer.
Khuddaar mai tha isliye daulat nahi rahi.
SHAYIR:
SABA DARBHANGVI, Darbhanga, Bihar.
Kaha Maa ne k beta odh kar gham ki rida so ja..
Ye daur-e-muflisi tujh ko na kuchh iske siwa dega..
SHAYIR:
TALIB SIDDIQUI
Guma'n hota hai tum milne mujhe chupke se aayi ho..
Hawa dar ka mere jab bhi kabhi parda hilati hai..
SHAYIR:
IBN-E-HASAN
No comments:
Post a Comment