Qatre ki aarzu hai bujha lunga apni pyaas..
Kyun mujh se mil ke RAHI samandar udaas hai..
SHAYIR:
NAZEER RAHI,
Kolkata..
Khalwat me baar baar mile us se ham magar..
Aisa nahi k beech ka parda nahi raha..
SHAYIR:
TALIB SIDDIQUI,
Darbhanga. Bihar.
Ummeed tum lagawoge gar yu'n saraab se..
Khud ko bacha na pawoge zehni azaab se..
SHAYIR:
FAIYAZ SHAKEEB,
Bangalore...
Ab aao makee'n hone is dil ki panaho'n me.
Ham phool bichha denge dilbar teri raaho'n me.
-
ZAIBUNNISA ZAIBA, Nimbahera (Raj)
Har shai Khuda ne di hai mujhe iske baujood.
Mehsoos ho rahi hai kisi ki kami mujhe.
SHAYIR:
IMRAN ADEEB,
Jhinjhanvi. (U.P.)
Ajab taskeen milti hai
dil-e-betaab ko mere..
Meri janib woh jab bhi muskura kar dekh leta hai..
SHAYIR:
BISMIL Bhatkali...
Ajab taskeen milti hai
dil-e-betaab ko mere..
Meri janib woh jab bhi muskura kar dekh leta hai..
SHAYIR:
BISMIL Bhatkali...
Rang bharne ki hain baate'n sabhi afsane me..
Ishq me kaun bhala kis se juda hota hai..
SHAYIR:
KHALID FATEHPURI,
(Lucknow)
Saare insaan hain mitti ke khilone ZAHID..
Waqt rondega unhe aur guzar jayega..
SHAYIR:
AKBAR ZAHID, AH.
Vaniyambadi.
Gardishe'n hi gardishe'n is paar bhi us paar bhi.
Kashti-e-dil ka basera kya pata kis paar hai.
SHAYIR:
GHOUSE PEER HAMDARD
No comments:
Post a Comment