Ye kaun hai jo mujh me hi rehta hai har ghadi..
Lekin ye baat kya hai kabhi bolta nahi..
SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT,
Bangalore.
Mohabbat me toh nakami hi BISMIL kamiyabi hai..
Yaha'n jo ghar ujadte hain wahi abaad hote hain..
SHAYIR:
BISMIL Bhatkali...
Hai ek zamane ki nazar husn pe jinke..
Hasrat se woh kyun meri taraf dekh rahe hain..
SHAYIR:
YAQOOB ASLAM,
Vaniyambadi.
Laparwahi is se badh kar kya hogi..
Mera marna unko bahana lagta hai..
SHAYIR:
SURAJ KARNATAKI,
Neel kanth nagar,
Hari Har.
Hain bojhal neend se aankhe'n magar mai so nahi pati.
Tumhari yaad aa aa kar meri neende'n udati hai.
SHAYIRAH:
NOURIN MAHEK
Ho gayi tu kyun hamare saamne yu'n be-naqab..
Doob jayenge teri aankho'n ke paimano me ham..
SHAYIR:
KAMAL AHMED,
Mumbai..
Please co-operate with us by persuading ur dear ones to activate GHAZAL4U
For activation:
sms
START GHAZAL4U
to
09223050606
Kya ye hi naye daur ki tahzeeb yaaro..
Jisko bhi yaha'n dekho adakaar lage hai..
SHAYIR:
ABDULLAH RAAZ
Deobandi. (U.P.)
Jhoot ki aadat se dekho kis Qadar majboor tha..
Mar raha tha phir bhi woh jhooti Qasam khane laga..
SHAYIR:
Zia Karnataki...
Bala se tera Qatl ho jaye Arshad..
Muqabil bhi jabir ke sach hi kaha kar..
SHAYIR:
Saifullah Arshad Saif,
Chickballapur.
No comments:
Post a Comment