Ab aisi waadiyo'n se laut aaya hun mai ghabra kar..
Jaha'n tha sirf mai bas aur teri yaado'n ka mela tha..
(SHAMEEM HAYAT)
Woh na aaye
gulshan-e-dil me mere..
Bin khile hi phool murjhane lage..
SHAYIR:
GHOUSE PEER HAMDARD,
Davangere.
(Karnataka)
Unhe gar naaz hai BISMIL ke woh hai
maah-paaro'n me.
Hame'n bhi fakhr hai apni jawani b misali hai.
SHAYIR:
BISMIL Bhatkali.
Nazuki unke Labo'n ki na puchhiye RAHAT..
Uff mai honto'n se bhi chhuta hun toh dar lagta hai..
SHAYIR:
ILYAS RAHAT,
(U.P.)
Aaj mehfil me sabho'n ke saamne meri taraf.
Muskura kar aap ka yu'n dekhna achchha laga.
SHAYIRAH:
SHEHNAZ GHAZAL,
Bangalore
Haram me Dair me Gulshan me
Dasht-o-sehra me.
Tujhe talash kiya hai kaha'n kaha'n ham ne.
SHAYIR:
ANEES IBRAHIM,
Bangalore.
Jiski mitti me rachi
khu-e-wafadari nahi.
Ishq uska ghair-meyari hai meyari nahi.
SHAYIR:
MAHB00B RAHI,
Akola. (Maharashtra)
Tumhe hai showq har dam meri himmat aazmane ka.
Toh mai bhi hausala rakhta hun koh-e-gham uthane ka.
SHAYIR:
FAIYAZ SHAKEEB
Zindagi ki uljhano'n se jab bhi ghabrane laga..
Mai kalaam-e-paak padh kar khud ko suljhane laga..
SHAYIR:
ZIA KARNATAKI
Ek dosheeza ki khwahish toh faqat hai itni.
Aish-o-ishrat nahi haato'n me Hina maange hai.
SHAYIR:
Dr. Suhail Nizam,
(Hubli)
No comments:
Post a Comment