Friday, May 28, 2010

urdu poetry part 177

De diya pehli nazar me dil usay..
Mai ne uska naam tak puchha nahi..

SHAYIR:
SURAJ Karnataki.
Neel kanth nagar,
Hari Har..




Sara zamana khel raha tha zameer se..
Dil ke siwa kisi ko khilona nahi mila..

SHAYIR:
AHMED NAZEER,
Vaniyambadi...







Teri chahat meri rag rag me behti hai Lahu ban kar..
Tere bin mai toh ek pal bhi guzara kar nahi sakta..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN







Agar kehti hai dunya mujh ko diwana toh kehne do.
Teri ulfat se lekin mai kanara kar nahi sakta.

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkal







Mere MEHB00B
ka chehra woh
chehra hai suno yaaro..
Zara pardah sarak
jaye Qamar bhi
maand pad jaaye..

SHAYIR:
SHAAD JAMAYI.










Hum se milne aayiyega chand lamho keliye.. Bazm ko garmayiyega chand lamho keliye..

SHAYIR:
HAROON SAIT SALEEM
Bangalore..




Chahne waale kisi tarha bhi chahen lekin.
Hum ne chaha hai tumhe apne muqaddar ki tarah.

SHAYIR:
NADEEM FAR00QI,
Ramanagram.

No comments: