Friday, May 28, 2010

urdu poetry part 183

Yaad aata hai tera CHAND sa chehra jab bhi..
'Dil ke aangan me ujala sa bikhar jata hai..'

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkal..







Mohabbat ki amanat ko mai palkaw me chhupata hun..
Na ban jaaye kahein afsana ye dard-e-niha'n apna..

SHAYIR:
Faiyaz Shakeeb







Ay khuda mujh pe tu bas itni inayet kar day..
Mere MEHB00B ke dil me meri chahat bhar day..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.







Lagta toh hai yahi k amanat hai tu meri..
Tujh se tujhi ko maang lu ye hosla nahi..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT, Bangalore







Ye shaam har ek shaam se rangeen bahut hai..
Baaho me mujhe apni samone keliye aa..

SHAYIR:
AHMED NAZEER
Vaniyambadi.







Jab bhi dekha hai Chand ki janib,
Teri soorat mujhe nazar aayi.

SHAYIR:
NAZEER RAHI

(Ad) sms
START GHAZAL4U
to
09223050606







Tu b awrau sa matlabi nikla,
Door ja kar bhula diya mujhko.
Teri dunya sanwaar di mai ne,
Aur tu ne mita diya mujh ko.
BISMIL







Jisko kehte hain mohabbat dard-e-sar hai dard-e-sar..
Ye maraz woh hai k jis me har dawa hai
be-asar..

-SHABNAM Bhatakali.










Unko mumkin nahi bhula dena..
Jinko dil me basa liya hum ne..

SHAYIR:
SURAJ Karnataki,
Neel kanth nagar,
Hari Har..




Laazim hai tum pe isliye parde ka ehtimam..
Sab se haseen cheez ho tum kayinat ki..

SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagar, U.P.

No comments: