Friday, May 28, 2010

urdu poetry part 1175

Diya khamosh ho jaye toh mera dil jala lena.
Tumhare raaste me bas charagh-e-dil hi kaafi hai.

SHAYIR:
NAZEER RAHI
Kolkata..







Sharma ke chhup na jaaye kahein chawdhvi ka CHAND.
Saj dhaj ke apne baam pe aate ho kisliye.

SHAYIR:
TALIB SIDDIQUI,
BIHAR.







HAPPY NEWS:
Many famous Urdu poets of India have joined GHAZAL4U.
Enjoy their couplets on your mobile along with their names.









Mele me dekhne keliye kya nahi mila,
Bas ek NAZEER aap ka chehra nahi mila.

SHAYIR:
AHMED NAZEER,
Nethaji nagar
Vaniyambadi.







Aisa nahi k chahne wala nahi mila..
FARHAD jaisa hum ko diwana nahi mila..

SHAYIR:
AHMED NAZEER
Vaniyambadi.
* * * * *







Wahi bijli ki chamak hai Wahi boondo ki chhanak..
Teri payal hai ke barsat ka mosam koyi..

SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER
Bangalore.







Meri saanso me teri khushbu basi hai is tarah..
Aaj bhi lagta hai jaise tu hai mere aas paas..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.







Mai ne jisko apne dil me di jagah..
Haal-e-dil afsos woh samjha nahi..

SHAYIRAH:
SABA Karnataki,
Hirekerur...
* * * * *







Lakh koshish bhi karun toh unse mil sakta nahi..
Ek jahan hum 2 dilo k darmiyan hai dosto..

SHAYIR:
BISMIL Bhatkali..







Woh aaye hain jab se
meri zindagi me..
Musarrat bhara mera har ek pal hai..

SHAYIR:
SURAJ Karnataki,
Hari Har...

No comments: