Friday, May 28, 2010

urdu poetry part 171

Zakhm woh mujh ko har ek roz naya deta hai.. Umr lambi ho magar ye bhi dua deta hai..

SHAYIR:
YASIR ILYAS
Bangalore..







Jise dunya ki nazro se chhupa kar dil me rakkha tha..
Jharokau se meri aankho ke usko sab ne dekha hai..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN




Us taraf uska tabassum is taraf kamzor dil..
Saari dunya ko mukammal ek kahani de gaya..

SHAYIR:
Dr. Suhail Nizam,
Hubli..





Jo ho sake toh nikal jaao meri dunya se..
Ye bar bar bichhadna bura lage hai mujhe..

SHAYIR:
ANEES IBRAHIM
Bangalore..







Woh bhool kar bhi kabhi mujh ko yaad karte nahi..
Mai jin ki yaad me khud ko bhulaye baitha hun..

SHAYIR:
Jalal Madani





Zindagi ab teri yaado ke siwa kuchh bhi nahi..
Dil ki tasweer me daghau ke siwa kuchh bhi nahi..

SHAYIR:
Jalal Madani





Kaise jeeta hai teri furqat me diwana tera..
Tujh ko dunya se mile fursat toh aa kar dekh le..

SHAYIR:
RAFFATH ASIFI.







Aa tere diwane ki vahshat ka manzar dekh le..
Teri galiyau me pada rehta hai aksar dekh le..

SHAYIR:
RAFFATH ASIFI
Bangalore





Ajab hai dastaan
meri ajab mera fasana hai..
Sunana jab bhi chaha Haal-e-dil aansu nikal aaye..

SHAYIR
SHAAD JAMAYI,
Bhatkal





Hum apne baare me ab sochna hi bhool gaye..
Tera khayal musallat hai bekhudi ki tarah..

SHAYIR:
NADEEM FAR00QI,
Ramanagram.






No comments: