Friday, May 28, 2010

urdu poetry part 181

Umr bhar saath dene ka wada karo..
Apna bigda muqaddar sanwar jayega..

SHAYIR:
SURAJ KARNATAKI
Neel kanth nagar,
Hari Har.







Wadah kiya hai vasl ka dilbar ne aaj raat..
Yarab shab-e-visaal ki koyi saher na ho..

SHAYIR:
HAR00N SAIT SALEEM
Bangalore.





Yaad uski shadeed hoti hai,
Par kahan uski deed hoti hai.
Aarzu koyi kya kare yaaro,
Ye toh aksar shaheed hoti hai. (BISMIL)





Tera kuchh nahi meri aankh me yahan jhankta hai tu kisliye.
Yahan aks hai kisi aur ka tera aayina koyi aur hai.

-ILYAS RAHAT







Koyi nahi hai ab mere dil ke makan me..
Jaane se tere dil mera weeran ho gaya..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali....





Sitamgar de gaya ilzam mujh ko Nasaburi ka..
Tadapne se toh shaan-e-ishq ki toheen hoti hai..

SHAYIR:
MUKHTAR BADRI.





Gungunati huwi aayi hain Hawayen aise..
Tum ne chupke se mera naam liya ho jaise..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT
Bangalore.







Ye jo bojhal se papote hain nashili aankhein.
Keh rahe hain ke woh raato ko jaga ho jaise.

SHAYIR:
Shameem Hayat,
Bangalore.







Aankho me koyi phool badan dekh raha hun..
Seene me mohabbat ki jalan dekh raha hun..

SHAYIR:
IMRAN AZEEM, NEW DELHI.

No comments: