Friday, May 28, 2010

urdu poetry part 176

Mismar mohabbat ki imarat nahi karte..
Hum woh hain dikhawe ki mohabbat nahi karte..

SHAYIR:
NAZEER RAHI
Kolkata...




Ab kisi dil me hamein koyi mohabbat na mili..
Husn ke yun toh magar laakh kharidar mile..

SHAYIR:
Syed Abubaker Bhatkali..







Mai teri raah takta hun mere khwabo ke dere me.
Sahej kar aa tujhe rakh lu mai in baaho ke ghere me.

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT.







Khudara bhool
mat jana mai tum
bin jee na pawunga..
Badi takleef
hoti hai tumhe dil
se bhulane me..

SHAYIR:
SHAAD JAMAYI.












O hi mera ho na paya der tak,Jisko ankho me basaya der tak.Chand lamhe muskrane keliye,Us sitamgar ne rulaya der tak

I.RAHAT





Keh gaya tha jald hi aaunga mai,Laut kar lekin na aya der tak.Jab koyi gul khil k mehka laan me,
Uska chehra yaad aya der tak







Zakhm jab tak hara nahi hota,Dard dil se juda nahi hota.
Ishq ka husn hi to Qatil hai,Khoon baha Q ada nahi hota.

-A.IBRAHIM







Har qadam par Thokarein Nakamiya'n Ruswayiya'n..
Kya mohabbat karne walau ka yahi anjaam hai..

SHAYIR:
SYED Bhatkali..










Wo saath apne liye aa rahe hain bu-e-chaman..
Jahan-e-dil mera phir se mahekne wala hai..

SHAYIR:
Ghouse Hamdard
Davangere.




Apni hasti ko mita kar ab ye rona kis liye..
Ay dil-e-nada'n tujhe kya hum ne samjhaya na tha..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT..

No comments: