Friday, May 28, 2010

urdu poetry part 1174

Padha hai uska chehra muddato IBN-E-HASAN mai ne..
Mujhe ummeed hai woh mujh se dhoka kar nahi sakta..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN.




Muddato tak jab tumhara raasta dekha gaya..
Meri nazro se bhala phir aur kya dekha gaya..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT
Bangalore..







Aankho me didaar ka manzar ab bhi hai..
Tera chehra CHAND se badh kar ab bhi hai..

SHAYIR:
TALIB SIDDIQUI,
Darbhanga, Bihar.







Mohabbat ki ye khushiya'n toh hain RAHAT chand lamho ki.
Bahe phir umr bhar ashkaw ke dhaare hum ne dekhe hain.

-ILYAS RAHAT







Chhupa sakte nahi hum se kabhi tum raaz-e-dil apna.
Haseen aankho ke wo bheege kinaare hum ne dekhe hai.

SHAYIR:
ILYAS RAHAT







Na hamsafar hai mera aur na koyi manzil hai.
Guzar raha hun rah-e-zindagi se mai tanha.

SHAYIR:
NADEEM FAR00QI,
Ramanagram.







Nikla tha jo falak pe woh mahtab sharm se..
Badli me chhup gaya hai tujhe dekhne ke baad..

SHAYIR:
Dr. Suhail nizam,
Hubli..







Gulshan se ek phool uthane ke jurm me..
Dunya ki saari ho gayi khushbu mere khilaf..

SHAYIR:
IMRAN RAQIM
Kolkata...





Dasht-o-sahra me bhatakte hain najane kitne..
Teri hasrat me bane honge diwane kitne..

SHAYIR:
RAFFATH ASIFI,
Bangalore..







Ye jaan'ne k baad koyi dukh huwa nahi..
Mujh se juda hai tu mere dil se juda nahi..

SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER
Bangalore..

No comments: