Friday, May 28, 2010

urdu poetry part 173

Fareb khaye hain itne khushi k naam pe hum.
Khushi ke naam se ab dil bhi kaanp jata hai.

SHAYIR:
NADEEM FAR00QI,
Ramanagram.







Jigar ka dard kehta hai zamana..
Haqeeqat me mohabbat dard-e-sar hai..

SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER
Bangalore....
* * * * *'







Jigar ka dard kehta hai zamana..
Haqeeqat me mohabbat dard-e-sar hai..

SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER
Bangalore....
* * * * *







Jane kaisi khata huwi mujhse,Sari dunya khafa huwi mujhse.
Jisko samjha tha zindagi apni,Daf'atan O juda huwi mujhse.

BISMIL







Wafa ka badla wafa ho ye husn kya jaane..
Hamari bhool thi hum ne jo aitibar kiya..

SHAYIR:
RAFFATH ASIFI,
Bangalore..







Ye apne apne muqaddar ka khel hai yaaro..
Kisi kisi ko mohabbat naseeb hoti hai..

SHAYIR:
NAZEER RAHI,
Kolkata....







Nafrato se dilo ko saaf karo,
Kaba-e-ishq ka tawaf karo.
Chahato ki ibadato keliye.
Sabke dil me tum aitikaf karo

(S.ZEBAYI)







Khush na ho mujh se bichhadne ka irada kar ke..
Tu bhi ho jayega tanha Mujhe tanha kar ke..

SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER
Bangalore







Jo daulat ki kabhi
hirs-o-tamanna kar nahi sakta.
Koyi uski ana ka us se sauda kar nahi sakta.

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.







Door hai manzil akela hun bahut..
Ban ke koyi hamsafar awaaz de..

SHAYIR:
SURAJ KARNATAKI,
Neel kanth nagar
Hari Har..


URDU POETRY GIVES ITS READERS PLEASURE & FUN, IT INCREASES UR WISDOM AND INTELLECT,
so join GHAZAL4U and co-operate with us.

for activation:
sms

START GHAZAL4U

And send it to 09223050606


 

No comments: