Friday, May 28, 2010

urdu poetry part 180

Usne aa kar shaam ke manzar sajeele kar diye..
Pyar ke phir zindagi se kuchh waseele kar diye..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT.







Aap ne apna bana kar hum pe ehsaan kar diya.
Aap ke hum ho gaye ye mehrbani aap ki.

SHAYIR:
Ghouse Peer Hamdard,
Davangere





Mere seene me hai lekin tumhe seene me rakhta hai.
Mere dil ko B aakhir yu tumhara kar liya tum ne.

SHAYIR:
FAIYAZ SHAKEEB...









Tere waade par na aane se raha bechain mai..
Raat saari mai teri tasweer me uljha raha..

SHAYIR:
SYED Bhatkali.. 








Har ek Aashiq yahi mehsoos karta hai judayi me..
Usay ek ek ghadi, ek ek sadi maloom hoti hai..

SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali.







Aansu chhalak pade toh khabar sab ko ho gayi..
Hum apne dil ka daagh chhupane me reh gaye..

SHAYIR:
SYED MALIKI Bhatkal..







Jannat se bhi ziyada ye dunya haseen hai..
Mehsoos ho raha hai tujhe dekhne ke baad..

SHAYIR:
Dr. Suhail Nizam
Hubli.










Laqab mil jaaye mujh ko aashiq-e-sadiq ka dunya me.
Kare sab rashk jis par wo meri taqdeer ho jaaye.

SHAYIR:
NADEEM FAR00QI.





Naam le le kar sisakti rehti hai tu subh tak..
Raat bhar mera tasauwur tujh ko tadpata hai kya ???

SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER.







Woh dil ko chain aankh ko suhane khwab de gaya.
Jo muskura ke mere haath ek gulab de gaya.

SHAYIR:
SIRAJ ZEBAYI
Vaniyambadi.

No comments: