Friday, May 28, 2010

urdu poetry part 164

Mujh ko toh isi baat ka rehta hai sada gham..
Ay jaan-e-ghazal tujh me hai khushbu-e-wafa kam..

SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali.







Hafiza hai k bhool jata hai,Dil ko lakin O yaad aata hai.
Yu to mai b falak ko chhu leta,Hosla sath kab nibhata hai.

S.HAYAT







Ye dil Ye khwab Ye aankhein Ye aarzu Ye nazar.
Woh 1 shakhs hai lekin hain thikane kitne.

SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Muzaffar nagar







Husn ko be-naqab dekha hai,Shoq ko kamyab deka hai.
Unki baahein thi meri gardan par,Maine uff kaisa khwab dekha hai

M.BADRI









Bahut haseen hai tera gham meri nigaho me..
Teri khushi keliye dil jalaye baitha hun..

SHAYIR:
JALAL MADANI,
Vaniyambadi..







Log mansoob tere naam se karte hain mujhe..
Naam tera mere maathe pe likha ho jaise..

SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali...







Apna haseen chehra dikha kar chale gaye..
Woh toh hamhi ko hum se chura kar chale gaye..

SHAYIR:
NIYAZ UMARI,
Hubli..







Dekha hai jab se usko taaro ki chhaown me..
Ek aag si lagi hai mere dil ke gaaown me..

SHAYIR:
BISMIL Bhatkali...







Tadapta hai hardam tumhari hi khatir.. Tumhara hai dil ab hamara nahi hai..

SHAYIR:
SURAJ Karnataki,
Hari Har..







Naaz hai mujh ko meri taqdeer par..
Aap ke kuche me mera Ghar bhi hai..

SHAYIR:
AHMED NAZEER
Vaniyambadi.
** * * **

No comments: