Friday, May 28, 2010

urdu poetry part 163

Ghazali aankhein Kitabi chehra Aur uspe yaaro Haya ka pehra.
Meri tumhari to baat kya hai k uspe Zahid ko pyar aaye.

-BISMIL





Uski yaado ki mahek aati hai mujh ko aaj bhi..
Umr bhar ke waaste ek rut suhani de gaya..

SHAYIR:
Dr. Suhail Nizam,
Hubli.







Furqato ki teergi ko door karne keliye..
Teri yaado ke diye dil me jala leta hun mai..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali..







Muflis hun mujh se koyi badi aarzu na rakh..
Tere liye mai TAJ bana bhi na sakunga..

SHAYIR:
SHAMEEM HAYAT,
Bangalore.







Muddat k baad ahd-e-wafa yaad aa gaya..
Phir aaj mere dil pe qayamat guzar gayi..

SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER,
Bangalore.







Chhubti hai nazar teri mere dil me sitamgar..
Itna bhi sitam bandah-e-nacheez pe mat kar..

SHAYIR:
HAROON SAIT SALEEM.







Meri jaan ! dekh ke soorat teri ye sochta hun mai.
Tujhe jis ne banaya woh khuda kitna haseen hoga.

SHAYIR:
SHABNAM Bhatkali









Aaye thay dil ki pyas bujhane ke waaste..
Aankho se sirf jaam pila kar chale gaye..

SHAYIR:
NIYAZ UMARI,
Hubli...







Hamara dil yunhi zarkhaiz toh nahi RAHI..
Hamesha dard ke badal utarte rehte hain..

SHAYIR:
NAZEER RAHI,
Kolkata..







Yarab tu uske dil me mera pyar daal day..
Ya mere dil se uski mohabbat nikaal day..

SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali..

No comments: