Tujhe chaha hai jab se har nazar hairat se takti hai.
Mohabbat me teri mai ho gaya ruswa zamane me.
SHAYIR:
AYUB BAIG DANISH
Mere apno se toh behtar hai woh dushman mera..
Jo khata ko meri
bar-waqt bata deta hai..
SHAYIR:
SAIFULLAH ARSHAD SAIF.
Kitne chehre teri takhleeq me baqi hain abhi..
Kya khabar kaun tera aakhiri chehra hoga..
SHAYIR:
AKBAR ZAHID,
Vaniyambadi.
Rakh liya ahl-e-dil ne wafa ka bharam..
Naam tere sitam ka karam rakh diya..
SHAYIR:
TALIB SIDDIQUI,
Darbhanga, Bihar.
Mere apno se toh behtar hai woh dushman mera..
Jo khata ko meri
bar-waqt bata deta hai..
SHAYIR:
SAIFULLAH ARSHAD SAIF.
Jab kabhi tujh ko bhulane ka khayal aayega.
Zindagi kaise bachegi ye sawal aayega.
SHAYIR:
MAHTAB AZAD Deobandi,
Saharanpur.
Tujhe chaha hai jab se har nazar hairat se takti hai.
Mohabbat me teri mai ho gaya ruswa zamane me.
SHAYIR:
AYUB BAIG DANISH
Tameer-e-Aashiya'n ki Lagan hai toh dekhna..
Ek din ghuroor-e-barq-o-sharar toot jayega..
SHAYIR:
ABDULLAH RAAZ,
Deobandi.
Khuda ka naam lekar apni kashti chhod dete hain.
Kabhi darya k hum maujo se ghabraya nahi karte.
SHAYIR:
NAZEER RAHI
Kolkata
Yaqeenan mere apne bhi saf-e-dushman me shamil thay..
Wagarna dushmano me itni himmat ho nahi sakti..
SHAYIR:
IBN-E-HASAN
No comments:
Post a Comment