Khaak tha jal kar hawas ki aag me jiska zameer..
Usne Biwi ko lagayi aag paiso keliye..
SHAYIR:
RAFFATH ASIFI,
Bangalore.
Mahek utthe'n dareeche phool mehke mere gamlo'n me.
Agar tu aaye toh ghar me bahaare'n bhi utar jaye'n.
SHAYIR:
JAWWAD HASAN
Mujhe Bete b pyare hain magar ye b haqeeqat hai.
Agar Beti na ho ghar me toh ghar veeran lagta hai.
SHAYIR:
SABA Darbhangvi.
Khabar kab thi hame'n tark-e-ta'alluq me bhi
Ae AARIZ.
Bhulane ki bhi koshish me woh aksar yaad aayenge.
SHAYIR:
AARIZ MIYAN
Hame'n na un me gine'n ye zameen-o-zar waale..
Jo chand sikko me ghairat ko bech dete hain..
SHAYIR:
SHAMS DEOBANDI (U.P.)
Is se badi jahaan me daulat koyi nahi..
Woh khush naseeb hain jinhe Maa ki dua mile..
SHAYIR:
Dr. Fitrat Bhatkali
(Karnatak)
Bardasht nahi hoti ye takleef tabeebo..
Kya koyi dawa yaade'n bhulane keliye hai..
SHAYIR:
JALAL MADANI,
Vaniyambadi.
Kyun mai jaawu'n un gulo'n ko dekhne gulzar me..
Woh chamak kis gul me hai jo hai tere rukhsar me..
SHAYIR:
RAFFATH ASIFI
Har taraf se mujh pe hamle ho rahe hain aaj kal.
Jaane mai kab ho gaya SADDAM tere pyar me.
SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER,
Bangalore
Mai jo hansti hun zamana saath hansta hai mere.
Jab akelepan me roti hun koyi saathi nahi.
SHAYIRAH:
Dr. Virottama
Bangalore
No comments:
Post a Comment