Kabhi kabhi toh huwi khud se itni bezaari.
Kisi ki zulf ka saya bhi nagawaar laga.
SHAYIR:
SHAMS DEOBANDI,
Saharanpur (U.P.)
Jamhoori mulk kehte hain Bharat ko sab magar..
Mahroom Aqliyet hai Musawi huqooq se..
SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali.
Bulbule'n khamosh hain aur Gul hain afsurdah magar.
Baghba'n khushiya'n maante hain chaman ko loot kar.
SHAYIR:
ILYAS RAHAT
Haq samajh kar jis pe apna ban gaye tum Hukmara'n.
Ye bhi socha hai kabhi kis ne watan ko kya diya.
SHAYIRAH:
Dr. Virottama
Roz tufaano'n se ladne ki hai aadat isliye..
Bijliyo'n ki zad me apna aashiya'n rakhta hun mai..
SHAYIR:
AFZAL SARWARI
Daman me apne le gaye khushya'n samet kar..
Dil me mere ghamo'n ko basa kar chale gaye..
SHAYIR:
NIYAZ AHMED NIYAZ,
Hubli.
Tujhe chaha hai jab se har nazar hairat se takti hai.
Mohabbat me teri mai ho gaya ruswa zamane me.
SHAYIR:
AYUB BAIG DANISH
Tujhe chaha hai jab se har nazar hairat se takti hai.
Mohabbat me teri mai ho gaya ruswa zamane me.
SHAYIR:
AYUB BAIG DANISH
No comments:
Post a Comment