Tumhari aan ka ham ko khayal tha warna..
Tumhari bazm se kab ke nikal gaye hote..
SHAYIR:
JALAL MADANI,
Vaniyambadi.
Judayi me kabhi apno se ulfat kam nahi hoti..
Mohabbat ho agar sachchi toh chahat kam nahi hoti..
SHAYIR:
SABA Darbhangvi..
Mere seene me bhi dil hai mujhe ehsaas hai is ka..
Mohabbat me mujhe aurau'n ko tadpana nahi aata..
SHAYIR:
SURAJ Karnataki.
Zehr bughz-o-nafrat ka khatm ho toh kaise ho..
Saanp se bhi zehreele dosto sapere hain..
SHAYIR:
BISMIL Bhatkali.
(Karnatak)
ZAHID ye zindagi ka safar bhi ajeeb hai..
Kis ko khabar k kaun kahan kab juda huwa..
SHAYIR:
AKBAR ZAHID,
Vaniyambadi.
Allah jaane kitne mare hain fasaad me..
Ek bheed si lagi hai kafan ki dukan par..
SHAYIR:
SIBTAIN PARWANA, Katihar, Bihar.
Khana hai par bhook nahi hai Bistar hai par neend nahi..
Zulm ghareebo par karte ho chain kaha'n mil jayega..
-
Dr. Virottama
Mai chahta hun sukoo'n uski nazr kar dalu'n..
Woh kaun hai jo mujhe iztiraab deta hai..
SHAYIR:
ROSHAN ZAMEER,
Bangalore.
Mere apno se toh behtar hai woh dushman mera..
Jo khata ko meri
bar-waqt bata deta hai..
SHAYIR:
SAIFULLAH ARSHAD SAIF.
No comments:
Post a Comment