Dil laga kar aap se aalam ye mera ho gaya..
Tha tamashayi mai pehle ab tamasha ho gaya..
SHAYIR:
JALAL MADANI,
Vaniyambadi.
Kaha'n phoolo'n me aisi taazgi hai..
Khuda ne jo tere chehre ko di hai..
SHAYIR:
TALIB SIDDIQUI,
Darbhanga,
Bihar- 847306
Honto'n pe mere
mauj-e-tabassum toh hai magar.
Kya jaane koyi kitne sitam seh raha hun mai.
SHAYIR:
FAIYAZ SHAKEEB
Bangalore
Waqt ki dhool nazar aayi thi peshani par.
Mai ne sheeshe me jab apna kabhi chehra dekha.
SHAYIR:
AARIZ MIYAN,
Garhi pukhta.
Dil laga kar aap se aalam ye mera ho gaya..
Tha tamashayi mai pehle ab tamasha ho gaya..
SHAYIR:
JALAL MADANI,
Vaniyambadi.
Honto'n pe mere
mauj-e-tabassum toh hai magar.
Kya jaane koyi kitne sitam seh raha hun mai.
SHAYIR:
FAIYAZ SHAKEEB
Bangalore
Shohrat ki bulandi bhi pal bhar ka tamasha hai..
Jis daal pe baithe ho woh toot bhi sakti hai..
SHAYIR:
SARSHAR KHAIRI
Khuda ka naam lekar apni kashti chhod dete hain.
Kabhi darya k hum maujo se ghabraya nahi karte.
SHAYIR:
NAZEER RAHI
Kolkata
Mujh ko ab mauj-e-talatum ka nahi dar koyi..
Meri kashti ka nigehban Khuda hai yaaro..
SHAYIR:
SURAJ KARNATAKI,
Hari Har.
Betiyo'n ko bojh hargiz mat samajhna tum kabhi..
Hain tumhare waaste rahmat Khuda ki Betiya'n..
SHAYIR:
IBN-E-HASAN Bhatkali
No comments:
Post a Comment