Tujhe chaha hai jab se har nazar hairat se takti hai.
Mohabbat me teri mai ho gaya ruswa zamane me.
SHAYIR:
AYUB BAIG DANISH
Tameer-e-Aashiya'n ki Lagan hai toh dekhna..
Ek din ghuroor-e-barq-o-sharar toot jayega..
SHAYIR:
ABDULLAH RAAZ,
Deobandi.
Khuda ka naam lekar apni kashti chhod dete hain.
Kabhi darya k hum maujo se ghabraya nahi karte.
SHAYIR:
NAZEER RAHI
Kolkata
Yaqeenan mere apne bhi saf-e-dushman me shamil thay..
Wagarna dushmano me itni himmat ho nahi sakti..
SHAYIR:
IBN-E-HASAN
Ghar baar tak luta diya apnau ke waaste..
Badle me uske mil gayi ruswayiya'n mujhe..
SHAYIRAH:
NAGHMA Karnataki,
Hari Har.
Hamare sar pe hai ilzaam is dunya me jeene ka..
Magar dekhi nahi ab tak kahein bhi zindagi ham ne..
SHAYIR:
FAIYAZ SHAKEEB
Mera wujood ek mukammal kitab hai..
Bad-Qismati se mujh ko kisi ne padha nahi..
SHAYIR:
ILYAS RAHAT Muzaffar nagari...
Sab zabano'n se hai meethi aaj bhi Urdu zaba'n..
Ab tahaffuz is zaba'n ka ham ko karna chahiye..
SHAYIR:
SURAJ KARNATAKI.
Ek dard La-dawa mila chahat nahi mili..
Saaye me gesuwow ke bhi rahat nahi mili..
SHAYIR:
BISMIL Bhatkali.
(Karnatak)
Ek dard La-dawa mila chahat nahi mili..
Saaye me gesuwow ke bhi rahat nahi mili..
SHAYIR:
BISMIL Bhatkali.
(Karnatak)
Jisko tum ne mera khat samajh kar padha.
Woh toh hargiz nahi thi kitabat meri.
SHAYIR:
SAIFULLAH ARSHAD SAIF,
Chickballapur.
No comments:
Post a Comment